Sunday, February 28, 2010

Shhhhhh......do not tell to any teacher.

Mere College ki kahani--meri zubani

 Engineering k hum students padhne me acche hain,
Par teachers ko pata nhi kyun hum pasand nhi padte hain...
Exams de k aate hain, ye sochte hain ki aayega 'A' grade,
Par yahan k anpadh teachers laga dete hain 'D' grade...
Apna result dekh k hum chakit ho jaate hain,
Minors acche, major accha tow kaise laga 'D' grade,
Fir pata chala ki yahan chalti ka naam hai gaadi,
Agar paper me kalam ruka tow pad jayega bhaari...
Usne 10 page likhe aur tumne 4,
Isliye maine lagaye tumhare numbers bekaar,
Ab iss desh ka kya hoga jahan aise teachers rehte hain,
Jo concept k bajaye page bharne par zor dete hain,
Adhoc se lekar HOD tak saare hain ek jaise,
Ek ko kuch nhi aata aur doosre kuch karna nhi chahtein hain
Yahan k adhoc flip -flop ko on-off switch batatein hain...
Complain karne hum jaate hain, par ye soch k ghabrate hain,
Ki complain sunne waale bhi hamare dushmano mein aatein hain...
Ab unki socho jo in sabke bawajood acche numbers laatein hain
Wo Engineering k students Einstein, Newton se kam nahi kehlatein hain...



**Please do not consider this article as an abuse to any particular organization. It's a general notion about the education system which is very common nowadays.

7 comments:

  1. dude .. ye sab to hamesha se chalta aaya hai aur chalta rahega ... kisi ko blame kar ke kuch nahi hoga ...

    ReplyDelete
  2. mast likha hai bhai.....yaar yahan ka system to hum he samaz paate hai...par koun samjhaye unhe....in simple word...." LE LIYA GAYA HAI HUMARA" LOL

    ReplyDelete
  3. yaaar ye sab shifarish aur class main g-g karne wale log hote hai jo D se A main aa jate hai aur vo log jo A ke kabil hote hai vo C-D fase hote
    Kush example hai jinko Computer ki program file kaha store hoti hai aur ek web page ko save kesse karte hai je nhi pata agar vo A bhi le raha hai to kiya farak padta hai GOD WACHING HE IS TRUE TEACHER WHO GAVE IS GOOD GRADES ALWAYS THERE NO MONEY NO SOURCE WORK >>>WORK IS ONLY UR HARDWORK AND TRUTH

    ReplyDelete
  4. gr8 arshad i knw abt it alrdy,bt i xpctd sm chng in sliet bt cudnt b.i apprct ur imagntn n analysn natre.best of luck 4 ur futr.

    ReplyDelete
  5. abe aisi taisi aise students ki.....saale jitne panne likhte hai utne dande maarne chaheye unhe.........tu tension mat le kisi competition main 100 pages likhne nahi hoote hai.....aur jaha tak einstein aur newton ki baat rahi to wo sab bhi gaali hi khate hai.........

    ReplyDelete
  6. just try to do ur best..........

    ReplyDelete
  7. Gr8 Work bhya.... Authentic, Genuine n Intensely Important.... Lets Keep tryin, maybe someday there might b a change....

    ReplyDelete