Sunday, February 28, 2010

Shhhhhh......do not tell to any teacher.

Mere College ki kahani--meri zubani

 Engineering k hum students padhne me acche hain,
Par teachers ko pata nhi kyun hum pasand nhi padte hain...
Exams de k aate hain, ye sochte hain ki aayega 'A' grade,
Par yahan k anpadh teachers laga dete hain 'D' grade...
Apna result dekh k hum chakit ho jaate hain,
Minors acche, major accha tow kaise laga 'D' grade,
Fir pata chala ki yahan chalti ka naam hai gaadi,
Agar paper me kalam ruka tow pad jayega bhaari...
Usne 10 page likhe aur tumne 4,
Isliye maine lagaye tumhare numbers bekaar,
Ab iss desh ka kya hoga jahan aise teachers rehte hain,
Jo concept k bajaye page bharne par zor dete hain,
Adhoc se lekar HOD tak saare hain ek jaise,
Ek ko kuch nhi aata aur doosre kuch karna nhi chahtein hain
Yahan k adhoc flip -flop ko on-off switch batatein hain...
Complain karne hum jaate hain, par ye soch k ghabrate hain,
Ki complain sunne waale bhi hamare dushmano mein aatein hain...
Ab unki socho jo in sabke bawajood acche numbers laatein hain
Wo Engineering k students Einstein, Newton se kam nahi kehlatein hain...



**Please do not consider this article as an abuse to any particular organization. It's a general notion about the education system which is very common nowadays.